Inspired by Prasoon Joshi's poem on 26/11
http://www.youtube.com/watch?v=m3rZmCw_BPU
Yeh Teesra saal hain, aur abbhi wohi haal hain.
Na jaane kitni mombattiyan jalee, NEWS channel walon ko TRP mili
Baaten toh bahut hue, Shahido ko shradhanjali mili
Par uske baad kya?
Yeh Teesra saaal hain, aur abbhi wohi haal hain.
Aaj bhi Gateway pe khule aam ghum sakta he koi bhi
CST station pe mere pados mein baitha koi aatankwadi to nahi?
Shaq aur asuraksha badhti ja rahi
Kya uska koi ilaaj hain?
Yeh Teesra saaal hain, aur abbhi wohi haal hain.
Kasab tod raha he muft ki rotiya jail mein
Uska vakil bhi kar aaya sair, Big Boss ke ghar mein
Ujwal Nikam ne diye bytes har channel ke liye
Aur hum dhoond rahe he conspiracy Karkare ki maut mein
Patil, Deshmukh se istife mangvaye
Aneko dossiers idhar se udhar bhijvaye
Kagzon me simat padi hain aman ki aasha
Yeh Teesra saaal hain, aur abbhi wohi haal hain.
Yeh koi pehli baar nahi tha,
Yeh kuchh aakhri bar nahi hain,
Aaj bhi jab dekhta hu, police ki jang lagi hue bandooke
Sochta hu, kya yeh bacha payenge apne aap ko AK-47 se?
Yeh Teesra saaal hain, aur abbhi wohi haal hain.
Janta hu ek din mein kuchh nahi badlata,
pechida hain mamla, etni jaldi hal nahi milta
Waade to bade bade kiye, batein bhi bahut sari hue
Par kya koshishe kaafi hain?
Itminan hain?
Har saal 26/11 ko yahi sawal hain
Yeh Teesra saaal hain, aur abbhi wohi haal hain.
-Abhijit Arun Chonkar
No comments:
Post a Comment